Bharwa karela recipe in Hindi | भरवां करेला

2264

Aaj ham apko Bharwa Karela Recipe in Hindi (भरवां करेला) batane ja rahe hai. Aapne har jagah padha hoga ya banayi hogi, lekin ham aapko is laajawaab bharwa karela recipe banane ki koshish jarur kare, jo aapko bahut hi swadist lagne wali hai, uttari bharat mein ise karela kalaunji bhi kahte hain. Yadi aap is bharwa karela recipe ko banana chahate hai toh hamari is recipe ko jarur padhe.Aayiye, toh shuru karte hai.

Bharwan karela banane mein aawashyak Samagari (4 memebers ke liye)

  • 8,10 Karela (madhayam aakar ke liye)
  • 4 Piyaaj (kanda) (barik kata hua)
  • Lahsun (8-10 kaliyan)
  • Hara dhaniya (sajawat ke liye)
  • 1 Bada Nimbu
  • Kalonji ya kala jeera (3 Tea-spoon)
  • Sauf (2 Tea-spoon)
  • Sabut dhaniya
  • Sabut Laal mirch (swadanusar)
  • Namak ( swadanusar)
  • Tel ( 2 badi spoon)
  • Jeera ( 1 Tea-spoon)
  • Methi
  • Garam masala (half tea-spoon)

Bharwa Karela Recipe in Hindi

  • Sabse pahle karele ko saaf pani mein dho kar sukha le. Aur sabhi  karelon mein beech mein se cheera laga le aur dhyan rahe ki yah ek kone se jude rahe, yadi beej tight hai toh nikal de ya naram ho toh unko keralon mein hi rehne de.
  • Aab aap piyaaj, lahsun, kalongi ya kala jeera, sauf, jeera, sabut dhaniya, sabut laal mirch aur methi ko pees kar pest bana le.
  • Pise huye masaale me thoda sa garam masala aur ek bada nimbu ka ras dalkar mila le, aur masaale ko sabhi karelon mein bhar de.
  • Aab aap Gas ko ON Kare, us par kadahi chadhaye aur 2 bade chammach Tel (oil) dale aur garam hone ke bad usmein sabhi karele ko ek – ek karke dalte jaye. Isi tarh se aap usmein sabhi karelon ko dal de. Aab Gas ki aanch  dheemi kar dijiye aur kadahi ko plat se (5-10 minute) tak dhak kar rakh dijiye.
  • Aab aap plat utha kar thodi – thodi der baad karelon ko palatate rahiye jisse karele charon taraf se acchi tarah bhun kar pak jaye.
  • Jab karele pak jaye tab aap isme hara dhaniya daal de, jisse isska swaad aur bhi badh jaye aur dikhne mein laajawaab lagne lage.
  • Aab hamari bharwa karela recipe in hindi tyar hai. Aap ise apne family members ke sath is bharwa karele ki recipe ka lufat uthahiye. Parose aur garma-garam chapati ke sath khaye.

Also Read:-  AALU KI SABJI RECIPE IN HINDI | आलू की सब्जी रेसिपी

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.