GHARELU NUSKHE FOR STRETCH MARKS TREATMENT IN HINDI

5482
kaise ghar par hi hum apne stretch marks ko thik karen? , ayurvedic home remedies for stretch marks in hindi , ayurvedic home remedies for stretch marks, beauty care beauty care, beauty culture , beauty tips in hindi , beauty tips, gharelu nuskhe for stretch marks in hindi, gharelu nuskhe for stretch marks, health care health care, strech marks hataane ke upaay strech marks hataane ke upaay, strech marks in hindi, strech marks hatane ke upay in hindi, strech marks kaise hataye, stretch marks home remedies in hindi , stretch marks home remedies, stretch marks removal tips at home in hindi, stretch marks removal tips at home , Gharelu upchar se stretch marks hatana , lifestyle, Stretch Marks , स्ट्रेच मार्क्स से हैं परेशान तो आजमाएं ये घरेलू उपाय, gharelu nuskhe for streching, gharelu nuskhe for streching in Hindi, stretch marks hatane wale oil, stretch marks kaise hataye, वजन घटने के बाद दिख रहे हैं स्ट्रेच मार्क्स? अपनाएं ये घरेलू नुस्खे, aasani se stretch marks kam karne wale gharelu nuskhe, aasani se stretch marks kam karne wale gharelu upaye, aasani se stretch marks kam karne wale upchar, स्ट्रेच मार्क्स को हमेशा के लिए कैसे हटाए?, क्या खिंचाव के निशान स्थायी रूप से हटाए जा सकते हैं?, स्ट्रेच मार्क्स क्रीम कब लगाना चाहिए?, प्रेग्नेंसी में स्ट्रेच मार्क्स होने से रोकने के उपाय, स्ट्रेच मार्क्स क्यों होता है?,स्ट्रेच मार्क्स, Stretch marks, Healthily beauty tips for streching, Healthily beauty tips for stretch marks,पेट के दाग कैसे साफ करें?, घरेलू विधि द्वारा पेट के दाग कम कैसे करें,डिलीवरी के बाद पेट की स्किन हो गई है डार्क तो जरूर अपनाएं यह उपाय, कितने साल के खिंचाव के निशान को हटाने के लिए?,स्ट्रेच मार्क्स को खुजली से कैसे रोकें?,स्ट्रेच मार्क्स कितने प्रकार के होते हैं?,क्या एलोवेरा से स्ट्रेच मार्क्स दूर होते हैं?,Stretch Marks Treatment in Hindi, Stretch Marks Treatment at home, Home Made Stretch Marks Treatment in Hindi,स्ट्रेच मार्क्स हटाने का तरीका,स्ट्रेच मार्क्स हटाने वाली क्रीम,जांघों पर खिंचाव के निशान,स्ट्रेच मार्क्स होने के कारण, stretch marks hone ke karan, stretch marks kaise ho jate hai, twacha par stretch marks padne ke karan, twacha par stretch marks padne ke karan aur nivaran,खिंचाव के निशान तेल कैसे उपयोग करें?,एक सप्ताह में खिंचाव के निशान से छुटकारा पाने के लिए कैसे?,झटपट हटाने हैं स्ट्रेच मार्क, इस्तेमाल करें रसोईघर की इन चीजों का,एक सप्ताह में खिंचाव के निशान से छुटकारा पाने के उपाय,Teenage Stretch Marks solutions in Hindi, wikiluv, wikiluv.com, www.wikiluv.com, विकिलव,GHARELU NUSKHE FOR STRETCH MARKS TREATMENT IN HINDI,Jaane Stretch Marks Hone Ke Karan,

GHARELU NUSKHE FOR STRETCH MARKS TREATMENT IN HINDI : Samanyatah  mahilao ke shareer par safed rang ki dhariya ho jati hain, unhe hum stretch marks kehte hain. Dekha gaya hai jyadatar mahilayen apni twacha par hone wale stretch marks se pareshan rehti hai, kyuki kisi bhi mahila ke twacha par agar stretch honge toh wo uski sundarta ko kharab hi karenge. Yadi aap bhi stretch marks ki samasya se pareshan hai to, yah lekh bilkul apke liye hi hai. kyoki is lekh ke dauran hum apko sharir par hone wale stretch marks ke liye ghar baithte upay batange, bina kharch kiye apke apne hi ghar me uplabdh cheejon se. Apne streching marks ko kam hi nhi poorntah khatam bhi kar paenge to aaiye jante hai kaise ghar par hi hum apne stretch marks ko thik karen? 

Jaane Stretch Marks Hone Ke Kaaran

Stretch marks hone ke kayi kaaran se ho sakte hain, jisse aapki twacha par safed rang ki dhariya dikhayi dene lagti hai, toh aaiye hum aapko batate hai ki body par strech marks hone ke kya kaaran ho sakte hain?

Hamari twacha 2 sataho (layers) me divide hoti hai.
(i) Dermis,
(ii) Epidermis

Jisme se Epidermis upar (outer) wali layer hoti hai aur andar wali layer ko Dermis kehte hain. Jab bhi koi vyakti mota hota hai toh twacha me khichav (stretch) hona samanya si baat hai, lekin jab ye khichav bad jata hai toh bahar ki layer to is khichav ko sehen kar leti hai lekin andar ki layer is khichav ko sehen nahi kar pati hai aur andar ki twacha ke tissues toot (break) jate hain, jiska parinaam (result) ye hota hai ki aapki twacha me safed dhariyan dikayi dene lagti hain.

Stretch marks mahilao me wajan badne ke kaaran ho jate hain, kyuki jab aapka wajan badta hai toh aapki twacha wajan badne ke kaaran bahut jyada stretch ho jati hai aur agar aise me aapka wajan kam ho jata hai toh wo strech marks aur jyada ubhar kar dikhayi dene lagte hain. Iske alawa jab mahilaye garbhwati hoti hain toh bachcha hone ke baad bhi unko strech marks jaisi pareshaniyon ka saamna karna padta hai.

Kayi baar dekha jata hai ki kam umar (age) me hi strech marks ladkiyon ke shreer par aa jate hain, iska kaaran kabhi-kabhi hormonal changes bhi ho sakte hain. Iske alawa kayi baar ye samasya ladko me bhi dekhne ko milti hai.

Ladko ke kandho aur peeth me ye stretch marks dekhne ko milte hain. Ye un logon me dekhne ko milte hain jo log gym join karke body build karte hain, kyuki isse unke muscles bante hain aur hamare body bhi stretch hoti hai. Ye marks naturally bahut hi mushkil se jate hain.

Toh ab ghabrane ki baat nahi hai, aap ghar baithe-baihe hi hamare is article me bataye huye gharelu upaayon dwara apne strech marks se chutkaara pa sakte hain. Waise market me bhi strech marks se chutkara dilane ke liye kayi prakaar ke utpaad (products) uplabd hain, lekin in utpadon me kayi prakaar ke aise rasayan istemaal kiye jate hain jo aapki twacha ko bhi nuksaan pahucha sakte hain, aur inke parinaam (result) ke bare me bhi kuch nahi kaha ja sakta.

Stretch marks ke liye gharelu upaay aapki jaroor help kar sakta hain. Toh aaiye jante hain strech marks hatane ke liye gharelu upaay.

GHARELU NUSKHE FOR STRETCH MARKS TREATMENT IN HINDI

1) Bharpoor Bhojan

Achcha khan-paan har kisi ke liye jaruri hota hai. Koi bhi vyakti ho,use koi bhi pareshani ho agar wo postic aur sampoorna bhojan ka sevan karega toh use kisi bhi tarah ki koi pareshani nahi hogi. Bharpoor bhojan ka matlab hai aisa bhojan jisme sabhi tarah ke poshtic tatva moujood ho. Is tarah agar aap poshtic bhojan ka ahaar lete hain toh ye bhi aapke stretch marks hatane me aapki madad karta hai. Aap apne ahaar me Vitamin-E aur Vitamin-C wale fal aur sabjiyon ko shamil Karen kyuki vitamin-C aur Vitamin-E naye tissues ko banate hai aur purane tissues jo kharab ho gaye hai, unko regenerate karte hain. Isliye apne ahaar me fal aur hari sabjiyon ko jaroor shamil Karen.

2) Aloe Vera for Stretch Marks

Aloe vera ek prakritik aushadhi (medicine) hai jo aapko kahi par bhi asaani se uplabdh ho jata hai. Ye twacha ki shine ko badata hai aur dusri hi taraf iska istemaal diabetic persons karte hain. Iska upyog ulcer (pet ke chaale) se chutkaara pane ke liye bh kiya jata hai aur jab skin ki baat aati hai toh ye har tarah ki twacha ke liye laabhkari hota hai aur twacha ki har tarah ki pareshani ko door karta hai. Isme paye jane wale vital nutrients, jali huyi twacha ko bhi thik kar sakte hai.

Stretch marks hatane ke liye bhi aloe vera upyog me aata hai. Iske liye aloevera le aur uska guda (pulp) nikaal le aur apne strech marks par laga le. Achchi tarah apne strech marks par aloevera ke guda se massage Karen. Massage karne se twacha tone hoti hai aur usme paye jane wale enzyme kharab twacha ko hatakar nayi twacha ko late hain.

You may also like: Dad khaj or Khujli ka Gharelu Upchar

3) Aalu (Potato)

Aalu ek aisa utpaad hai jiske dwara twacha ka kaalapan toh door hota hi hai saath hi iske ras me paye jane wale vitamins twacha me nayi koshikao ko banate hain aur twacha ko swasth rakhte hain. Stretch marks hatane ke liye aalu ko crush kar le aur usko apne stretch marks par achchi tarah laga le. Lagane ke baad thodi der rehne de aur uske baad gungune pani se dho le. Ya phir aap ye bhi kar sakte hain ki aalu ko thoda mota kaat le aur stretch marks par lagaaye. Thodi der rakhne ke baad ise bhi gungune pani se dho le. Isse aapke stretch marks dheere-dheere halke ho jayenge.

4) Jaitun ka Tel (Olive Oil)

Jaitun ka tel bhi stretch marks kam karne me bahut sahayak hota hai. Agar din me teen baar jaitun ka tel lagaya jaye toh stretch marks dheere-dheere halke hokar khatam ho jate hai. Iske liye jaitun tel halka gunguna kar stretch marks par achchi tarah halke hath se massage Karen. Jisse tel me moujood vitamin-A, D aur E ko twacha achchi tarah absorb kar le. Is prakaar malish karne se hamare blood ka circulation thik tareeke se hota hai. Malish ke baad oil ko twacha par kuch der ke liye rehne de. Isse aapki twacha ke stretch marks thik ho jayenge.

5) Baadam ka Tel

Badaam ke tel dwara bhi stretch marks ko door kiya ja sakta hai. Iske liye badaam tel me ek chammach sugar aur kuch boonde nimbu ke ras ki achchi tarah milate hain. Ab mishran ko nahane ke 10-15 minute pehle stretch marks par laga le aur halke se rub Karen. Aisa karne se aapke stretch marks thik ho jayenge. Ye prayog ek mahine tak lagataar karne se aapko jyada achcha parinaam (result) milega.

6) Nariyal ka Tel (coconut oil)

Jo striya pregnent hoti hai unme strech marks adhik hote hai kyoki pregnent ke duran unki body me khichav hone lagta hai. yadi aap pregnent hai aur chahte hai ki apko stretching ke dauran stretch marks na pade to aap nahane se pahle thoda sa nariyal ka tel lekar pet janghon aur chutron (hips) par rounder shapes me 2-3 minutes ke liiye malish karen aesa karne se apko kabhi bhi stretch marks nahi padege. Yadi pregnancy ke dauran apko khujli hoti hai to aap raat me sone se bhi nariyal tel lagaye aesa karne se khujli ke karan hone wale stretch marks bhi nhi pange.

7) Vyayaam

Vyayaam ek aisi cheez hoti hai jisko karne wala vyakti bahut kam beemar padta hai. Isliye apni dincharya me vyayaam ko jaroor hi shamil karna chahiye. Jahan stretch marks ki baat aati hai toh vyayaam karne se aapki body ka rakht sanchaar badta hai. Hamari twacha aur muscles bhi tone hoti hain. Isliye vyayaam ke dwara bhi kaafi had tak stretch marks ko thik kiya ja sakta hai.

Upar hamare dwara stretch marks ko hatane ke upaay bataye gaye hain. Jinke dwara aapko ghraelu upayon dwara apne stretch marks se mukti milegi. Aap bahar ke cosmetics ke upyog se bhi bachenge.

Toh ab der kis baat ki hai hamare is article Stretch marks ke liye gharelu upaay me bataye gaye tips ka upyog aaj se karna shuru Karen aur apne shareer ke stretch marks hataye.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.